Mere Kamre Mein Ek Aisi KhiDki Hai

mere kamre mein ek aisi khiDki hai

jo in aankhon ke khulne par khulti hai

aise tewar dushman hi ke hote hain

pata karo ye laDki kis ki beTi hai

raat ko is jangal mein rukna Thik nahin

is se aage tum logon ki marzi hai

main is shahar ka chand hun aur ye jaanta hun

kaun si laDki kis khiDki mein baiThi hai

jab tu sham ko ghar jae to paDh lena

tere bistar par ek chiTThi chhoDi hai

us ki KHatir ghar se bahar Thahra hun

warna ilm hai chabi gate pe rakkhi hai

(3184) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Kamre Mein Ek Aisi KhiDki Hai In English By Famous Poet Ziya Mazkoor. Mere Kamre Mein Ek Aisi KhiDki Hai is written by Ziya Mazkoor. Read famous Poem Mere Kamre Mein Ek Aisi KhiDki Hai for youth and Student by Ziya Mazkoor. Free Download Mere Kamre Mein Ek Aisi KhiDki Hai in PDF.