Phone To Dur Wahan KHat Bhi Nahin Pahunchenge

phone to dur wahan KHat bhi nahin pahunchenge

ab ke ye log tumhein aisi jagah bhejenge

zindagi dekh chuke tujh ko baDe parde par

aaj ke baad koi film nahin dekhenge

masala ye hai main dushman ke qarin pahunchunga

aur kabutar meri talwar pe aa baiThenge

hum ko ek bar kinaron se nikal jaane do

phir to sailab ke pani ki tarah phailenge

tu wo dariya hai agar jaldi nahin ki tu ne

KHud samundar tujhe milne ke liye aaenge

segha-e-raaz mein rakkhenge nahin ishq tera

hum tere nam se KHushbu ki dukan kholenge

(2561) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phone To Dur Wahan KHat Bhi Nahin Pahunchenge In English By Famous Poet Ziya Mazkoor. Phone To Dur Wahan KHat Bhi Nahin Pahunchenge is written by Ziya Mazkoor. Read famous Poem Phone To Dur Wahan KHat Bhi Nahin Pahunchenge for youth and Student by Ziya Mazkoor. Free Download Phone To Dur Wahan KHat Bhi Nahin Pahunchenge in PDF.