Waqt Hi Kam Tha Faisle Ke Liye

waqt hi kam tha faisle ke liye

warna main aata mashware ke liye

tum ko achchhe lage to tum rakh lo

phul toDe the bechne ke liye

ghanTon KHamosh rahna paDta hai

aap ke sath bolne ke liye

saikaDon kunDiyan laga raha hun

chand baTanon ko kholne ke liye

ek diwar bagh se pahle

ek dupaTTa khule gale ke liye

tark apni falah kar di hai

aur kya ho muashare ke liye

log aayat paDh ke sote hain

aap ke KHwab dekhne ke liye

ab main raste mein leT jaun kya

jaane walon ko rokne ke liye

(2403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Hi Kam Tha Faisle Ke Liye In English By Famous Poet Ziya Mazkoor. Waqt Hi Kam Tha Faisle Ke Liye is written by Ziya Mazkoor. Read famous Poem Waqt Hi Kam Tha Faisle Ke Liye for youth and Student by Ziya Mazkoor. Free Download Waqt Hi Kam Tha Faisle Ke Liye in PDF.