Maujud Kuchh Nahin Yahan Madum Kuchh Nahin

maujud kuchh nahin yahan madum kuchh nahin

ye zist hai to zist ka mafhum kuchh nahin

manzar hijab aur hi kuchh manzaron ke hain

malum hum ko ye hai ki malum kuchh nahin

KHwab-o-KHayal samjhen to maujud hai jahan

kuchh bhi siwae nuqta-e-mauhum kuchh nahin

harf-o-bayan nazare sitare dil-o-nazar

har shai mein intishaar hai manzum kuchh nahin

jo mil gaya hai, jis ki hamein aarzu rahi

aur jis se KHud ko rakkha hai mahrum kuchh nahin

jis ke baghair ji nahin sakte the jite hain

pas tai hua ki lazim-o-malzum kuchh nahin

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maujud Kuchh Nahin Yahan Madum Kuchh Nahin In English By Famous Poet Ziyaul Hasan. Maujud Kuchh Nahin Yahan Madum Kuchh Nahin is written by Ziyaul Hasan. Read famous Poem Maujud Kuchh Nahin Yahan Madum Kuchh Nahin for youth and Student by Ziyaul Hasan. Free Download Maujud Kuchh Nahin Yahan Madum Kuchh Nahin in PDF.