Abhi Mujhse Kisi Ko Mohabbat Nahin Hui

abhi mujh se kisi ko mohabbat nahin hui

so dil ke bagh mein phul bhi nahin khile

mujhe har aurat ke sine par pistan

aur ranon ke bich qaus nazar aati hai

abhi mohabbat shurua nahin hui

main har ham-bistari ke baad bezar ho jata hun

aur phir se us kaam ke liye tayar ho jata hun

main pistanon aur ranon mein

mohabbat talash karne ke kar-e-be-sud mein masruf hun

mohabbat ke mausam tak

ishrat ke raste jaya ja sakta

to main kab ka pahunch gaya hota

nazar karta hun to lagta hai

zindagi se kuchh aur bhi dur nikal aaya hun

mujhe maut se Dar lagne laga hai

kyunki abhi mujh se kisi ko mohabbat nahin hui

qatl-e-am jari hai

agle paDaw tak

kar-e-mohabbat mauquf kar diya gaya hai

qismat ko kaghaz ke TukDon

aur barud se munsalik kar diya gaya hai

aabaadi ka masala darpesh hai

mohabbat ko kisi farigh waqt par uTha diya gaya hai

bahaar aane tak

ye mausam to tai karna paDega

(1228) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Mujhse Kisi Ko Mohabbat Nahin Hui In English By Famous Poet Ziyaul Hasan. Abhi Mujhse Kisi Ko Mohabbat Nahin Hui is written by Ziyaul Hasan. Read famous Poem Abhi Mujhse Kisi Ko Mohabbat Nahin Hui for youth and Student by Ziyaul Hasan. Free Download Abhi Mujhse Kisi Ko Mohabbat Nahin Hui in PDF.