Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_11ff471c11bf2733800905b252ea479d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Tum Shohraton Ke Darmiyan Gumnam Likh Dena - Zubair Rizvi Poetry In English - Darsaal

Mujhe Tum Shohraton Ke Darmiyan Gumnam Likh Dena

mujhe tum shohraton ke darmiyan gumnam likh dena

jahan dariya mile be-ab mera nam likh dena

ye sara hijr ka mausam ye sari KHana-virani

ise ai zindagi mere junun ke nam likh dena

tum apne chand tare kahkashan chahe jise dena

meri aankhon pe apni did ki ek sham likh dena

mere andar panahen DhunDti phirti hai KHamoshi

lab-e-goya mere andar bhi ek kohram likh dena

wo mausam ja chuka jis mein parinde chahchahate the

ab in peDon ki shaKHon par sukut-e-sham likh dena

shabistanon mein lau dete hue kundan se jismon par

hawa ki ungliyon se wasl ka paigham likh dena

(2105) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Tum Shohraton Ke Darmiyan Gumnam Likh Dena In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Mujhe Tum Shohraton Ke Darmiyan Gumnam Likh Dena is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Mujhe Tum Shohraton Ke Darmiyan Gumnam Likh Dena for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Mujhe Tum Shohraton Ke Darmiyan Gumnam Likh Dena in PDF.