Puchh Na Humse Kaise Tujh Tak Naqd-e-dil-o-jaan Lae Hum

puchh na hum se kaise tujh tak naqd-e-dil-o-jaan lae hum

kin rahon se bach kar nikle kis kis se katrae hum

raat akela pa kar KHud ko maiKHane le aae hum

pi kar jhume jhum ke nache der talak lahrae hum

duniya walon ne jine ki sharhen kaThin lagai thin

KHushbu ban kar phail gae hum baadal ban kar chhae hum

kaise kaise rishte joDe ajnabiyon ne bhi hum se

sagar tah se do ek moti jab se chun kar lae hum

shahr-e-dil mein raat koi sauda-gar ban kar aaya tha

naqd-e-dil-o-jaan saunp ke us ko subh bahut pachhtae hum

tashbihon ke rang-mahal mein koi na tujh ko jaan saka

git suna kar ghazlen kah kar diwane kahlae hum

chanda jaisa rup tha apna phulon jaisi rangat thi

tere gham ki dhup mein jal kar kumlae murjhae hum

(987) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Puchh Na Humse Kaise Tujh Tak Naqd-e-dil-o-jaan Lae Hum In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Puchh Na Humse Kaise Tujh Tak Naqd-e-dil-o-jaan Lae Hum is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Puchh Na Humse Kaise Tujh Tak Naqd-e-dil-o-jaan Lae Hum for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Puchh Na Humse Kaise Tujh Tak Naqd-e-dil-o-jaan Lae Hum in PDF.