Qaside Le Ke Sare Shaukat-e-darbar Tak Aae

qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae

hamin do chaar the jo halqa-e-inkar tak aae

wo tapti dhup se jab saya-e-diwar tak aae

to jati dhup ke manzar lab-e-izhaar tak aae

wo jis ko dekhne ek bhiD umDi thi sar-e-maqtal

usi ki did ko hum bhi sutun-e-dar tak aae

tarab-zadon ki raaten husn se aabaad rahti thin

suKHan-zade to bas zikr-e-lab-o-ruKHsar tak aae

zamin ke hath par hai aasman ye kya maqam aaya

ye kis imkan bhari duniya ke hum aasar tak aae

ana ke gumbadon mein jin ka fan gunja kiya barson

hunar un ke bhi bikne raunaq-e-bazar tak aae

(1124) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaside Le Ke Sare Shaukat-e-darbar Tak Aae In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Qaside Le Ke Sare Shaukat-e-darbar Tak Aae is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Qaside Le Ke Sare Shaukat-e-darbar Tak Aae for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Qaside Le Ke Sare Shaukat-e-darbar Tak Aae in PDF.