Shafaq-sifat Jo Paikar Dikhai Deta Hai

shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai

har ek nigah ka mahwar dikhai deta hai

udhar khuli koi khiDki na koi darwaza

jahan se aag ka manzar dikhai deta hai

chalo ki nili fazaon mein baadban kholen

safar-nawaz samundar dikhai deta hai

kaTe to kaise ye andhi rifaqaton ka safar

na koi chehra na manzar dikhai deta hai

nazar na aae to sau wahm dil mein aate hain

wo ek shaKHs jo aksar dikhai deta hai

paDe hain band sabhi zine un chhaton ke 'zubair'

jahan jahan se tera ghar dikhai deta hai

(1174) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shafaq-sifat Jo Paikar Dikhai Deta Hai In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Shafaq-sifat Jo Paikar Dikhai Deta Hai is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Shafaq-sifat Jo Paikar Dikhai Deta Hai for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Shafaq-sifat Jo Paikar Dikhai Deta Hai in PDF.