Sham Hone Wali Thi Jab Wo Mujhse BichhDa Tha Zindagi Ki Rahon Mein

sham hone wali thi jab wo mujh se bichhDa tha zindagi ki rahon mein

subh jab main jaga tha wo jo mujh se bichhDa tha so raha tha bahon mein

mai-kade mein sab ke sab jam hath mein le kar doston mein baiThe the

dur log masjid mein rab ko yaad karte the dil ki bargahon mein

wo zamin ke shahzade tir aur kaman le kar jangalon mein phirte the

ek hiran jo zaKHmi tha dauDta hua aaya radhika ki bahon mein

hum pale charaghon mein raushni se rishta tha nur hum mein rahta tha

chand le ke wo nikle jin ko hum ne dekha tha zulmaton ki bahon mein

auraton ki aankhon par kale kale chashme the sab ki sab barahana thin

zahidon ne jab dekha sahilon ka ye manzar likh diya gunahon mein

hum ne ahd-e-wusta ke sare taj-daron ki yaadgaren dekhi hain

taj sab mein yakta hai aur shahjahan tanha sare baadshahon mein

(1176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Hone Wali Thi Jab Wo Mujhse BichhDa Tha Zindagi Ki Rahon Mein In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Sham Hone Wali Thi Jab Wo Mujhse BichhDa Tha Zindagi Ki Rahon Mein is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Sham Hone Wali Thi Jab Wo Mujhse BichhDa Tha Zindagi Ki Rahon Mein for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Sham Hone Wali Thi Jab Wo Mujhse BichhDa Tha Zindagi Ki Rahon Mein in PDF.