Kutton Ka Nauha

purani baat hai

lekin ye anhoni si lagti hai

bani-quddus ke beTon ka

ye dastur tha

wo apni shamshiren

niyamon mein na rakhte the

musallah ho ke sote the

aur un ke KHub-ru gabru

kase tiron ki surat

raat-bhar

mishal-ba-kaf

KHemon ke bahar jagte rahte

bani-quddus ke beTe

balaon aur azabon ko

hamesha laghzish-e-pa ka sila ginte

gunahon se hazar karte

magar ek din

ki wo manhus saat thi KHarabi ki

zanan-e-nim-uryan dekh kar KHana-ba-doshon ki

kuchh aise mar-miTe

jab raat aai to

bani-quddus ke beTon ki shamshiren

niyamon mein paDi thin

aur diwaron pe laTki thin

wo pahli raat thi

KHemon ke bahar ghup-andhera tha

faza mein dur tak

kutton ki aawazon ka nauha tha

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kutton Ka Nauha In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Kutton Ka Nauha is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Kutton Ka Nauha for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Kutton Ka Nauha in PDF.