Raat Phir Dard Bani
aasman TuTa hua chand
hatheli pe liye hansta hai
raat aazurda sitaron se suKHan karti hui
rahguzaron pe dabe panw chali aai hai
bhig jati hai kisi aankh mein aansu ban kar
phail jati hai kisi yaad ki KHushbu bin kar
kahin TuTe hue paiman-e-wafa joDti hai
mauj-e-mai ban ke chhalak paDti hai paimanon se
dil ka ahwal suna karti hai diwanon se
aasman chand se KHali hua
aur ab koi sitara bhi to raKHshanda nahin
raat be-nur guzar-gahon pe chalte hue
afsurda hai nam-dida hai
ek sannaTa tarasta hua aawazon ko
be-ziya karta hua raat ki mehrabon ko
(1222) Peoples Rate This