Safa Aur Sidq Ke BeTe

purani baat hai

lekin ye anhoni si lagti hai

sawad-e-sharq ka ek shahr

tariki mein Duba tha

achanak shor sa uTTha

zamin jaise taDaKH jae

nadi mein baDh aa jae

koi koh-e-giran jaise jagah se apni haT jae

baDa kohram tha

KHilqat

mata-o-mal se mahrum nange sar

gharon se chiKH kar nikli

magar aal-e-safa-o-sidq ke KHeme nahin ukhDe

wo apni KHwab-gahon se nahin nikle

riwayat hai

safa-o-sidq ke beTe

hamesha raat aate hi

hisar-e-hamd

apne chaar jaanib khinch lete the

muqaddas aayaton ko apne pe dam kar ke sote the

riwayat hai

balaen un ke darwazon se

wapas lauT jati thin

sawad-e-sharq ka wo shahr

us shab Dher tha lekin

safa-o-sidq ki aulad ke KHeme nahin ukhDe

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safa Aur Sidq Ke BeTe In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Safa Aur Sidq Ke BeTe is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Safa Aur Sidq Ke BeTe for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Safa Aur Sidq Ke BeTe in PDF.