Samton Ka Zawal

jidhar tum ho

usi jaanib manazir aankh malte hain

tumhaari samt hai shahr-e-nigaran, chand ki nagri

zamin ki god mein hansti hui faslon ki shadabi

machalti naddiyon ka shor nili pur-sukun jhilen

pahaDon par rupahli dhup aur peDon ki angnai

makanon ke haram aabaadiyon ke jagte manzar

tumhaari samt hai jismon ki chandi sans ke mele

dilon ki dhaDkanen aawaz ki jalti hui shamen

meri jaanib sulagti ret tapti dhup ke sahra

ghane jangal hain viranon ki na-bina rifaqat hai

zamin hai jis ke aangan mein saliben istada hain

KHamoshi hai lahu jo chaTti hai apne zaKHmon ka

meri jaanib shikasta pattharon se khelte manzar

safar lamba hai yak-rangi se hum tum ub jaenge

chalo kuchh der chashm-e-shauq ke pahlu badal Dalen

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samton Ka Zawal In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Samton Ka Zawal is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Samton Ka Zawal for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Samton Ka Zawal in PDF.