Ghar Nahin Basti Nahin Shor-e-fughan Chaaron Taraf Hai
ghar nahin basti nahin shor-e-fughan chaaron taraf hai
ek chauthai zamin par aasman chaaron taraf hai
dauDte hain raat-din tin aankh barah hath wale
sard sannaTe mein aawaz-e-sagan chaaron taraf hai
launcher rocket Clashnikof barudi surangen
KHun ka dariya pahaDon mein rawan chaaron taraf hai
jism hai to sar nahin sar hai to dast-o-pa nahin
arz-e-pur-asrar mein hu ka saman chaaron taraf hai
surmai kohsar ki choTi pe barfani parinda
bas ki gul ki chah mein gasht-e-KHizan chaaron taraf hai
ishaare se alamat tak zaban KHamosh meri
kal 'zubair' apna tha aaj us ka ziyan chaaron taraf hai
(1243) Peoples Rate This