Qamar-gazida Nazar Se Haala Kahan Se Aaya

qamar-gazida nazar se haala kahan se aaya

charagh bujhne ke baad ujala kahan se aaya

nadi mein wo aur chand hain ek sath raushan

zamin par aasman wala kahan se aaya

ye ghuncha ghuncha siyah bhanwre ki bosa-KHwahi

sawad-e-gulshan mein ham-niwala kahan se aaya

faza ki aaludgi thi pahle hi nim qatil

ye dil mein ek aur dagh kala kahan se aaya

qarib-tar doston se hone ki aarzu mein

abhi abhi pusht par ye bhaala kahan se aaya

main KHwab mein bhi teri gali se nahin guzarta

ye donon talwon mein surKH chhaala kahan se aaya

kahan gaya sikka sikka qarun ka KHazana

'zubair' hathon mein ye piyala kahan se aaya

(1221) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qamar-gazida Nazar Se Haala Kahan Se Aaya In English By Famous Poet Zubair Shifai. Qamar-gazida Nazar Se Haala Kahan Se Aaya is written by Zubair Shifai. Read famous Poem Qamar-gazida Nazar Se Haala Kahan Se Aaya for youth and Student by Zubair Shifai. Free Download Qamar-gazida Nazar Se Haala Kahan Se Aaya in PDF.