Nikla Hun Shahr-e-KHwab Se Aise Ajib Haal Mein

nikla hun shahr-e-KHwab se aise ajib haal mein

gharb mere junub mein sharq mere shumal mein

koi kahin se aae aur mujh se kahe ki zindagi

teri talash mein hai dost baiTha hai kis KHayal mein

DhunDte phir rahe hain sab meri jagah mera sabab

koi hazar mil mein koi hazar sal mein

lafzon ke iKHtisar se kam to hui saza meri

pahle kahaniyon mein tha ab hun main ek misal mein

mez pe roz subh-dam taza gulab dekh kar

lagta nahin ki ho koi mujh sa mere ayal mein

phul kahan se aae the aur kahan chale gae

waqt na tha ki dekhta paudon ki dekh-bhaal main

kamron mein bistaraon ke bich koi jagah nahin bachi

KHwab hi KHwab hain yahan aaankhon ke haspatal mein

gurg-o-samand o mush-o-sag chhanT ke ek ek rag

phirte hain sab alag alag rahte hain ek khaal mein

(1305) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikla Hun Shahr-e-KHwab Se Aise Ajib Haal Mein In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Nikla Hun Shahr-e-KHwab Se Aise Ajib Haal Mein is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Nikla Hun Shahr-e-KHwab Se Aise Ajib Haal Mein for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Nikla Hun Shahr-e-KHwab Se Aise Ajib Haal Mein in PDF.