Safar Pe Jaise Koi Ghar Se Ho Ke Jata Hai

safar pe jaise koi ghar se ho ke jata hai

har aabla mere andar se ho ke jata hai

jahan se chahe guzar jae mauja-e-ummid

ye kya ki mere barabar se ho ke jata hai

junun ka puchhiye hum se ki shahr ka har chaak

isi dukan-e-rafugar se ho ke jata hai

main roz ek zamane ki sair karta hun

ye rasta mere bistar se ho ke jata hai

hamare dil mein hawale hain sari yaadon ke

waraq waraq isi daftar se ho ke jata hai

(1269) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Pe Jaise Koi Ghar Se Ho Ke Jata Hai In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Safar Pe Jaise Koi Ghar Se Ho Ke Jata Hai is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Safar Pe Jaise Koi Ghar Se Ho Ke Jata Hai for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Safar Pe Jaise Koi Ghar Se Ho Ke Jata Hai in PDF.