Wo BuDha Ek KHwab Hai Aur Ek KHwab Mein Aata Rahta Hai

wo buDha ek KHwab hai aur ek KHwab mein aata rahta hai

is ke sar par an-dekha panchhi manDlata rahta hai

naTak ke kirdaron mein kuchh sachche hain kuchh jhuTe hain

parde ke pichhe koi un ko samjhata rahta hai

basti mein jab chaak-gareban girya karte phirte hain

is mausam mein ek rafu-gar hansta gata rahta hai

har kirdar ke pichhe pichhe chal deta hai qissa-go

yunhi baiThe baiThe apna kaam baDhata rahta hai

is din bhi jab basti mein talwaren kam paD jati hain

ek mudabbir aahan-gar zanjir banata rahta hai

aawazon ki bhiD mein ek KHamosh musafir dhire se

na-manus dhunon mein koi saz bajata rahta hai

dekhne wali aankhen hain aur dekh nahin patin kuchh bhi

is manzar mein jaane kya kuchh aata jata rahta hai

is dariya ki tah mein 'adil' ek purani kashti hai

ek girdab musalsal us ka bojh baDhata rahta hai

(1147) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo BuDha Ek KHwab Hai Aur Ek KHwab Mein Aata Rahta Hai In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Wo BuDha Ek KHwab Hai Aur Ek KHwab Mein Aata Rahta Hai is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Wo BuDha Ek KHwab Hai Aur Ek KHwab Mein Aata Rahta Hai for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Wo BuDha Ek KHwab Hai Aur Ek KHwab Mein Aata Rahta Hai in PDF.