Ye Mez Ye Kitab Ye Diwar Aur Main

ye mez ye kitab ye diwar aur main

khiDki mein zard phulon ka ambar aur main

har sham is KHayal se hota hai ji udas

panchhi to ja rahe hain ufuq par aur main

ek umr apni apni jagah par khaDe rahe

ek dusre ke KHauf se diwar aur main

sarkar har daraKHt se bante nahin hain taKHt

qurban aap par mere auzar aur main

le kar to aa gaya hun mere pas jo bhi tha

ab sochta hun tera KHaridar aur main

KHushbu hai ek fazaon mein phaili hui jise

pahchante hain sirf sag-e-yar aur main

khoe huon ko DhunDne nikla tha aaftab

duniya to mil gai sar-e-bazar aur main

(1546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mez Ye Kitab Ye Diwar Aur Main In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Ye Mez Ye Kitab Ye Diwar Aur Main is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Ye Mez Ye Kitab Ye Diwar Aur Main for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Ye Mez Ye Kitab Ye Diwar Aur Main in PDF.