Chahat Ghamze Jata Rahi Hai

chahat ghamze jata rahi hai

wahshat sahra dikha rahi hai

ghunchon ka jigar hila rahi hai

bulbul kya gul khila rahi hai

yusuf ka pata laga rahi hai

KHushbu kanan mein aa rahi hai

shirin kya rang la rahi hai

aashiq ka lahu baha rahi hai

kis shoKH ko dijiye dil-e-zar

kis mein sahab wafa rahi hai

aawaza-e-faiz hai jahan mein

jis ki shohrat sada rahi hai

Dain hai pari-washon ki furqat

dil kha ke kaleja kha rahi hai

jaan nazar hui pari-ruKHon ki

miTTi ko hawa uDa rahi hai

chahat ki kashish ne lo Dubo di

yusuf ko kunen jhuka rahi hai

dil mein jo base hue hain gul-ru

surKHi aaankhon mein chha rahi hai

gahta hun jabin ko pa-e-but se

taqdir likha miTa rahi hai

hanste hue dekh kar gulon ko

shabnam aansu baha rahi hai

andher ka aaj samna hai

surma wo pari laga rahi hai

kyun jaan nahin nikalti 'agha'

kaise sadme uTha rahi hai

(1504) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahat Ghamze Jata Rahi Hai In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Chahat Ghamze Jata Rahi Hai is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Chahat Ghamze Jata Rahi Hai for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Chahat Ghamze Jata Rahi Hai in PDF.