Daur Saghar Ka Chale Saqi Dobara Ek Aur

daur saghar ka chale saqi dobara ek aur

abr kaba se uTha hai man kahna ek aur

jhumta aata hai wo baadal ka TukDa ek aur

saqiya bhar kar pila de jam-e-sahba ek aur

din ko jo kuchh tum ne dekha ye to thi sab dil-lagi

shab ko rah jao to dikhlaen tamasha ek aur

main unhen kahta hun tum bedard ho na-ashna

wo lagate hain mujhe ilzam ulTa ek aur

dil ko nafrat ho gai nazron se aaKHir gir gae

tum se behtar apni aaankhon mein samaya ek aur

kyun sisakta chhoDe jate ho mujhe maqtal mein tum

faisla kar dun main qurban de ke charka ek aur

tere aane mein tawaqquf jab hua ai nama-bar

KHat unhen bechain ho kar hum ne likkha ek aur

band mahram ke khule kuchh be-hijabi ho chuki

wo bhi ab uTh jae jo baqi hai parda ek aur

dost dushman ho gae yaron ne aankhen pher lin

rah gaya hai aap ka mujh ko bharosa ek aur

wasl ki shab mein kiya murgh-e-sahar ka band-o-bast

nara-e-allahu-akbar ka hai dhaDka ek aur

ho chuka zikr-e-dahan wasf-e-kamar likhte hain hum

dam mein sayyaad ke phansta hai anqa ek aur

said ki kasrat se 'agha' ban paDi sayyaad ki

do ne gar pai rihai aa ke uljha ek aur

(1554) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daur Saghar Ka Chale Saqi Dobara Ek Aur In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Daur Saghar Ka Chale Saqi Dobara Ek Aur is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Daur Saghar Ka Chale Saqi Dobara Ek Aur for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Daur Saghar Ka Chale Saqi Dobara Ek Aur in PDF.