KHwabon Se Yun To Roz Bahalte Rahe Hain Hum

KHwabon se yun to roz bahalte rahe hain hum

kitni haqiqaton ko badalte rahe hain hum

apne ghubar mein bhi hai wo zauq-e-sar-kashi

pamal hauke arsh pe chalte rahe hain hum

sau sau tarah se tujh ko sanwara hai husn-e-dost

sau sau tarah se rang badalte rahe hain hum

har dasht-o-dar mein phul khilane ke waste

akasr to nok-e-KHar pe chalte rahe hain hum

aain-e-pasdari-e-sahra na chhuT saka

waz-e-junun agarche badalte rahe hain hum

saqi na multafit ho to pina haram hai

pyase bhi mai-kade se nikalte rahe hain hum

koi KHalil jis ko na gulzar kar saka

tere liye is aag pe chalte rahe hain hum

kya jaane kab wo subh-e-bahaaran ho jalwa-gar

daur-e-KHizan mein jis se bahalte rahe hain hum

pursan-e-haal kab hui wo chashm-e-be-niyaz

jab bhi gire hain KHud hi sambhalte rahe hain hum

sahil ki ishraton ko KHabar bhi na ho saki

tufan ban ke lakh machalte rahe hain hum

taKHil-e-lala-kar ye kahti hai ai 'surur'

koi zamin ho phulte-phalte rahe hain hum

(1545) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwabon Se Yun To Roz Bahalte Rahe Hain Hum In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. KHwabon Se Yun To Roz Bahalte Rahe Hain Hum is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem KHwabon Se Yun To Roz Bahalte Rahe Hain Hum for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download KHwabon Se Yun To Roz Bahalte Rahe Hain Hum in PDF.