KHushk Kheti Hai Magar Usko Hari Kahte Hain

KHushk kheti hai magar us ko hari kahte hain

kam-nigahi ko bhi wo dida-wari kahte hain

fikr-e-raushan ko wo shorida-sari kahte hain

yani suraj ko charagh-e-sahari kahte hain

jo tere dar se uTha phir wo kahin ka na raha

us ki qismat mein rahi dar-badri kahte hain

kitni be-rahm hai fitrat unhen malum nahin

jo use kargah-e-shishagari kahte hain

husn ke bab mein 'akbar' ki sanad kafi hai

hum bhi har ek but-e-kamsin ko pari kahte hain

ruh-e-sayyad pe KHuda jaane guzar jaegi kya

aam ali-gaDh mein hui kam-nazari kahte hain

(1318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushk Kheti Hai Magar Usko Hari Kahte Hain In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. KHushk Kheti Hai Magar Usko Hari Kahte Hain is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem KHushk Kheti Hai Magar Usko Hari Kahte Hain for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download KHushk Kheti Hai Magar Usko Hari Kahte Hain in PDF.