KHuda-parast Mile Aur Na But-parast Mile

KHuda-parast mile aur na but-parast mile

mile jo log wo apne nashe mein mast mile

kahin KHud apni durusti ka dukh nahin dekha

bahut jahan ki durusti ke bandobast mile

kahin to KHak-nashin kuchh buland bhi honge

hazaron apni bulandi mein kitne past mile

ye sahl fath to phiki si lag rahi hai mujhe

kisi azim muhim mein kabhi shikast mile

ye shaKH-e-gul ki lachak bhi payam rakhti hai

basan-e-tegh the jo hum ko haq-parast mile

suna hai chand tahi-damanon mein zarf to tha

'surur' hum ko tawangar bhi tang-dast mile

(1344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda-parast Mile Aur Na But-parast Mile In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. KHuda-parast Mile Aur Na But-parast Mile is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem KHuda-parast Mile Aur Na But-parast Mile for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download KHuda-parast Mile Aur Na But-parast Mile in PDF.