Tipu Ki Aawaz

go raat ki jabin se siyahi na dhul saki

lekin mera charagh barabar jala kiya

jis se dilon mein ab bhi hararat ki hai numud

barson meri lahad se wo shoala uTha kiya

phika hai jis ke samne aks-e-jamal-e-yar

azm-e-jawan ko main ne wo ghaza ata kya

mere lahu ki bund mein raqsan thin bijliyan

KHak-e-dakan ko main ne sharar aashna kiya

jis ko bhula saken na kabhi shaiKH-o-barahman

hindostan ko wo fasana ata kiya

sahil ki aankh mein magar aai na kuchh nami

dariya mein lakh lakh talatum hua kiya

KHwab-e-giran se ghunchon ki aankhen na khil sakin

ek shaKH-e-gul se naghma barabar uTha kiya

ye bazm aisi soi ki jagi na aaj tak

fitrat ka karwan hai ki aage baDha kiya

mara hua hun go KHalish-e-intizar ka

mushtaq aaj bhi hun payam-e-bahaar ka

(1262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tipu Ki Aawaz In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Tipu Ki Aawaz is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Tipu Ki Aawaz for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Tipu Ki Aawaz in PDF.