DhaDakte Sans Lete Rukte Chalte Maine Dekha Hai

dhaDakte sans lete rukte chalte main ne dekha hai

koi to hai jise apne mein palte main ne dekha hai

tumhaare KHun se meri ragon mein KHwab raushan hai

tumhaari aadaton mein KHud ko Dhalte main ne dekha hai

na jaane kaun hai jo KHwab mein aawaz deta hai

KHud apne-ap ko nindon mein chalte main ne dekha hai

meri KHamoshiyon mein tairti hain teri aawazen

tere sine mein apna dil machalte main ne dekha hai

badal jaega sab kuchh baadalon se dhup chaTKHegi

bujhi aankhon mein koi KHwab jalte main ne dekha hai

mujhe malum hai un ki duaen sath chalti hain

safar ki mushkilon ko hath malte main ne dekha hai

(1780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhaDakte Sans Lete Rukte Chalte Maine Dekha Hai In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. DhaDakte Sans Lete Rukte Chalte Maine Dekha Hai is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem DhaDakte Sans Lete Rukte Chalte Maine Dekha Hai for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download DhaDakte Sans Lete Rukte Chalte Maine Dekha Hai in PDF.