Hamesha Zindagi Ki Har Kami Ko Jite Rahte Hain

hamesha zindagi ki har kami ko jite rahte hain

jise hum ji nahin pae usi ko jite rahte hain

hamare dukh ki barish ko koi daman nahin milta

hamari aankh ke baadal nami ko jite rahte hain

kisi ke sath hain rasmen kisi ke sath hain qasmen

kisi ke sath jina hai kisi ko jite rahte hain

hamein malum hai ek din bharosa TuT jaega

magar phir bhi sarabon mein nadi ko jite rahte hain

hamare sath chalti hai tumhaare pyar ki KHushbu

lagai thi jo tum ne us lagi ko jite rahte hain

chahakte ghar mahakte khet aur wo ganw ki galiyan

jinhen hum chhoD aae un sabhi ko jite rahte hai

KHuda ke nam-lewa hum bhi hain tum bhi ho aur wo bhi

magar afsos sab apni KHudi ko jite rahte hain

(2394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamesha Zindagi Ki Har Kami Ko Jite Rahte Hain In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. Hamesha Zindagi Ki Har Kami Ko Jite Rahte Hain is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem Hamesha Zindagi Ki Har Kami Ko Jite Rahte Hain for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download Hamesha Zindagi Ki Har Kami Ko Jite Rahte Hain in PDF.