Har Bar Hua Hai Jo Wahi To Nahin Hoga

har bar hua hai jo wahi to nahin hoga

Dar jis ka satata hai abhi to nahin hoga

duniya ko chalo parkhen nae dost banaen

har shaKHs zamane mein wahi to nahin hoga

wo shaKHs baDa hai to ghalat ho nahin sakta

duniya ko bharosa ye abhi to nahin hoga

hai us ka ishaara bhi samajhne ki zarurat

hoga to kabhi hoga abhi to nahin hoga

do-chaar gaDe murde ukhaDenge kisi roz

har bar naya jhagDa kabhi to nahin hoga

kuchh aur bhi ho sakta hai taqrir ka matlab

jo aap ne samjha hai wahi to nahin hoga

har bar zamane ka sitam hoga mujhi par

han main hi badal jaun kabhi to nahin hoga

(1285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Bar Hua Hai Jo Wahi To Nahin Hoga In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. Har Bar Hua Hai Jo Wahi To Nahin Hoga is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem Har Bar Hua Hai Jo Wahi To Nahin Hoga for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download Har Bar Hua Hai Jo Wahi To Nahin Hoga in PDF.