Bahar Bhi Ab Andar Jaisa SannaTa Hai

bahar bhi ab andar jaisa sannaTa hai

dariya ke us par bhi gahra sannaTa hai

shor thame to shayad sadiyan bit chuki hain

ab tak lekin sahma sahma sannaTa hai

kis se bolun ye to ek sahra hai jahan par

main hun ya phir gunga bahra sannaTa hai

jaise ek tufan se pahle ki KHamoshi

aaj meri basti mein aisa sannaTa hai

nai sahar ki chap na jaane kab ubhregi

chaaron jaanib raat ka gahra sannaTa hai

soch rahe ho socho lekin bol na paDna

dekh rahe ho shahr mein kitna sannaTa hai

mahw-e-KHwab hain sari dekhne wali aankhen

jagne wala bas ek andha sannaTa hai

Darna hai to an-jaani aawaz se Darna

ye to 'anis' dekha-bhaala sannaTa hai

(2676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahar Bhi Ab Andar Jaisa SannaTa Hai In English By Famous Poet Aanis Moin. Bahar Bhi Ab Andar Jaisa SannaTa Hai is written by Aanis Moin. Read famous Poem Bahar Bhi Ab Andar Jaisa SannaTa Hai for youth and Student by Aanis Moin. Free Download Bahar Bhi Ab Andar Jaisa SannaTa Hai in PDF.