Aankhon Ke Samne Koi Manzar Naya Na Tha

aankhon ke samne koi manzar naya na tha

bas wo zara sa fasla baqi raha na tha

ab is safar ka silsila shayad hi KHatm ho

sab apni apni rah len hum ne kaha na tha

darwaze aaj band samajhiye suluk ke

ye chalne wala dur talak silsila na tha

unchi uDan ke liye par taulte the hum

unchaiyon pe sans ghuTegi pata na tha

koshish hazar karti rahen tez aandhiyan

lekin wo ek patta abhi tak hila na tha

sab hi shikar-gah mein the KHema-zan magar

koi shikar karne ko ab tak uTha na tha

achchha hua ki gosha-nashini ki iKHtiyar

'ashufta' aur is ke siwa rasta na tha

(1455) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ke Samne Koi Manzar Naya Na Tha In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Aankhon Ke Samne Koi Manzar Naya Na Tha is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Aankhon Ke Samne Koi Manzar Naya Na Tha for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Aankhon Ke Samne Koi Manzar Naya Na Tha in PDF.