Ghar Ki Had Mein Sahra Hai

ghar ki had mein sahra hai

aage dariya bahta hai

hairat tak mafqud hui

itna dekha-bhaala hai

jaane kya uftad paDe

KHwab mein us ko dekha hai

aahaT kaisi basti mein

kaun ye rasta bhula hai

raste apne apne hain

kaun kisi ko samjha hai

qaid se wahshi chhuT gae

dekhen kya gul khilta hai

uDne wala panchhi kyun

pankh sameTe baiTha hai

(1139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Ki Had Mein Sahra Hai In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Ghar Ki Had Mein Sahra Hai is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Ghar Ki Had Mein Sahra Hai for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Ghar Ki Had Mein Sahra Hai in PDF.