Gharaunde KHwabon Ke Suraj Ke Sath Rakh Lete

gharaunde KHwabon ke suraj ke sath rakh lete

paron mein dhup ke ek kali raat rakh lete

hamein KHabar thi zaban kholte hi kya hoga

kahan kahan magar aankhon pe hath rakh lete

tamam jangon ka anjam mere nam hua

tum apne hisse mein koi to mat rakh lete

kaha tha tum se ki ye rasta bhi Thik nahin

kabhi to qafile walon ki baat rakh lete

ye kya kiya ki sabhi kuchh ganwa ke baiTh gae

bharam to banda-e-maula-sifat rakh lete

main bewafa hun chalo ye bhi man leta hun

bhale bure hi sahi tajrabaat rakh lete

(1261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gharaunde KHwabon Ke Suraj Ke Sath Rakh Lete In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Gharaunde KHwabon Ke Suraj Ke Sath Rakh Lete is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Gharaunde KHwabon Ke Suraj Ke Sath Rakh Lete for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Gharaunde KHwabon Ke Suraj Ke Sath Rakh Lete in PDF.