Guzar Gae Hain Jo Mausam Kabhi Na Aaenge

guzar gae hain jo mausam kabhi na aaenge

tamam dariya kisi roz Dub jaenge

safar to pahle bhi kitne kiye magar is bar

ye lag raha hai ki tujh ko bhi bhul jaenge

alaw ThanDe hain logon ne jagna chhoDa

kahani sath hai lekin kise sunaenge

suna hai aage kahin samten banTi jati hain

tum apni rah chuno sath chal na paenge

duaen loriyan maon ke pas chhoD aae

bas ek nind bachi hai KHarid laenge

zarur tujh sa bhi hoga koi zamane mein

kahan talak teri yaadon se ji lagaenge

(1294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Gae Hain Jo Mausam Kabhi Na Aaenge In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Guzar Gae Hain Jo Mausam Kabhi Na Aaenge is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Guzar Gae Hain Jo Mausam Kabhi Na Aaenge for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Guzar Gae Hain Jo Mausam Kabhi Na Aaenge in PDF.