Hamare Bare Mein Kya Kya Na Kuchh Kaha Hoga

hamare bare mein kya kya na kuchh kaha hoga

chalenge sath to duniya ka samna hoga

wo ek shaKHs jo patthar uTha ke dauDa tha

zarur KHwab ki kaDiyan mila raha hoga

hamare baad ek aisa bhi daur aaega

wo ajnabi hi rahega jo tisra hoga

KHizan-pasand hamein DhunDne ko nikle hain

hamare dard ka qissa kahin suna hoga

jo har qadam pe mere sath sath rahta tha

zarur koi na koi to wasta hoga

nahin hai KHauf koi rahbaron se 'ashufta'

hamare sath shikaston ka qafila hoga

(1427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Bare Mein Kya Kya Na Kuchh Kaha Hoga In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Hamare Bare Mein Kya Kya Na Kuchh Kaha Hoga is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Hamare Bare Mein Kya Kya Na Kuchh Kaha Hoga for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Hamare Bare Mein Kya Kya Na Kuchh Kaha Hoga in PDF.