Dur Tak Phaila Samundar Mujh Pe Sahil Ho Gaya

dur tak phaila samundar mujh pe sahil ho gaya

lauT kar jaana yahan se aur mushkil ho gaya

daKHila mamnua likkha tha fasil-e-shahr par

paDh to main ne bhi liya tha phir bhi daKHil ho gaya

KHwab hi bazar mein mil jate hain tabir bhi

pahle logon se suna tha aaj qail ho gaya

is hujum-e-be-karan se bhag kar jata kahan

tum ne roka to bahut tha main hi shamil ho gaya

pahle bhi ye sab manazir rokte the is dafa

aisa kya dekha ki tujh se aur ghafil ho gaya

ek mauqa kya mila KHush-fahmiyan baDhne lagin

rasta itna pasand aaya ki manzil ho gaya

aur kya deta bhala sahra-nawardi ka KHiraj

tu bacha tha ab ke tu bhi nazr-e-mahmil ho gaya

(1468) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Tak Phaila Samundar Mujh Pe Sahil Ho Gaya In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Dur Tak Phaila Samundar Mujh Pe Sahil Ho Gaya is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Dur Tak Phaila Samundar Mujh Pe Sahil Ho Gaya for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Dur Tak Phaila Samundar Mujh Pe Sahil Ho Gaya in PDF.