KHuda Ki Jagah Khaali Hai

shankar Damru ka mutabaadil talash kar chuka

gopiyan ab kisi udhau ki muhtaj nahin

trunk call

un ki samasyaon ka hal hai

izrail!

atom aur helium ke haq mein

dast-bardar hone ki fikr mein hai

israfil ki jamaliyati his ko jila mil gai

ab wo kisi music-school mein daKHila le lega

food-corporation ka mutalba:

'mikhail ka retirement' man liya gaya hai

wireless-telegraphy ka mahkama

afsar-e-ala ke ohde ke liye

jibrail ki darKHwast par ghaur kar raha hai

'KHuda ki jagah KHali hai'

mutamanni hazraat fauran se pesh-tar darKHwast den!

(1744) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

KHuda Ki Jagah Khaali Hai In English By Famous Poet Aashufta Changezi. KHuda Ki Jagah Khaali Hai is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem KHuda Ki Jagah Khaali Hai for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download KHuda Ki Jagah Khaali Hai in PDF.