Pahla KHutba

phir ek jamm-e-ghafir

ek maidan mein

aasman ki taraf der se tak raha hai!

imra-ul-qais ki beTiyan

shairi ki zaban phir samajhne lagin

laplapati zabanen

KHitabat ka jadu jagane lagin

wo KHuda-zadiyan muskurane lagin

aur melon mein phir bhiD baDhne lagi

koi mimbar se bola

ki ai mere pyaro!

tumhein apne aglon ki umren lagen

baz aao safar se

kuchh aaram lo

qafilon ki madhur ghanTiyan

ret ke silsile

us ki denge gawahi tumhein

hum ne pahle kaha tha

gharon mein raho

tum na mane to us ki saza pa chuke

baz aao abhi waqt hai

be-karan nili nili KHala

phir na mashur kar de tumhein

(1415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahla KHutba In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Pahla KHutba is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Pahla KHutba for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Pahla KHutba in PDF.