Phir Mizaj Us Rind Ka Kyunkar Mile

phir mizaj us rind ka kyunkar mile

jis ko us ke hath se saghar mile

ye bhi milna hai ki baad-az-sad-talash

hadd-e-wahm-o-fahm se bahar mile

kuchh na puchho kaisi nafrat hum se hai

hum hain jab tak wo hamein kyunkar mile

meri aankhen aur us ki KHak-e-pa

tere kuche ka agar rahbar mile

wasl hai sar-josh-e-sahba-e-fana

phir agar koi mile kyunkar mile

milne ke pahle fana hona zarur

phir fana jo ho gaya kyunkar mile

'asi'-e-giryan mila mahbub se

gul se shabnam jis tarah ro kar mile

(1171) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Mizaj Us Rind Ka Kyunkar Mile In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Phir Mizaj Us Rind Ka Kyunkar Mile is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Phir Mizaj Us Rind Ka Kyunkar Mile for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Phir Mizaj Us Rind Ka Kyunkar Mile in PDF.