Qatra Wahi Ki Ru-kash-e-dariya Kahen Jise

qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise

yani wo main hi kyun na hun tujh sa kahen jise

wo ek nigah ai dil-e-mushtaq is taraf

aashob-gah-e-hashr-e-tamana kahen jise

bimar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai

wo dard dil mein de ki masiha kahen jise

ai husn-e-jalwa-e-ruKH-e-jaanan kabhi kabhi

taskin-e-chashm-e-shauq-e-nazara kahen jise

is zoaf mein tahammul-e-harf-o-sada kahan

han baat wo kahun ki na kahna kahen jise

ye baKHshish apne banda-e-nachiz ke liye

thoDi si punji aisi ki duniya kahen jise

ham-bazm ho raqib to kyun-kar na chheDiye

aahang-e-saz-e-dard ki nala kahen jise

paimana-e-nigah se aaKHir chhalak gaya

sar josh-e-zauq-e-wasl-e-tamanna kahen jise

'asi' jo gul se gal kisi ke hue to kya

mashuq wo ki sab se nirala kahen jise

(1413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qatra Wahi Ki Ru-kash-e-dariya Kahen Jise In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Qatra Wahi Ki Ru-kash-e-dariya Kahen Jise is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Qatra Wahi Ki Ru-kash-e-dariya Kahen Jise for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Qatra Wahi Ki Ru-kash-e-dariya Kahen Jise in PDF.