Usi Ke Jalwe The Lekin Visal-e-yar Na Tha

usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

main us ke waste kis waqt be-qarar na tha

koi jahan mein kya aur tarah-dar na tha

teri tarah mujhe dil par to iKHtiyar na tha

KHiram jalwe ke naqsh-e-qadam the lala-o-gul

kuchh aur us ke siwa mausam-e-bahaar na tha

wo kaun nala-e-dil tha qafas mein ai sayyaad

ki misl-e-tir-e-nazar aasman shikar na tha

ghalat hai hukm-e-jahannam kise hua hoga

ki mujh se baDh ke to koi gunahgar na tha

wafur-e-be-KHudi-e-bazm-e-mai na puchho raat

koi ba-juz nigah-e-yar hoshiyar na tha

lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin

koi libas na tha jo ki mustaar na tha

to mahw-e-gul-ban-o-gulzar ho gaya 'asi'

teri nazar mein jamal-e-KHayal-e-yar na tha

(1419) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi Ke Jalwe The Lekin Visal-e-yar Na Tha In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Usi Ke Jalwe The Lekin Visal-e-yar Na Tha is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Usi Ke Jalwe The Lekin Visal-e-yar Na Tha for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Usi Ke Jalwe The Lekin Visal-e-yar Na Tha in PDF.