Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad

wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad

ki tere nam ki raT hai KHuda ke nam ke baad

wahan bhi wada-e-didar is tarah Tala

ki KHas log talab honge bar-e-am ke baad

gunahgar ki sun lo to saf saf ye hai

ki lutf-e-rahm-o-karam kya phir intiqam ke baad

talab tamam ho matlub ki agar had ho

laga hua hai yahan kuch har maqam ke baad

wo KHat wo chehra wo zulf-e-siyah to dekho

ki sham subh ke baad aae subh sham ke baad

payam-bar ko rawana kiya to rashk aaya

na ham-kalam ho us se mere kalam ke baad

abhi to dekhte hain zarf baada-KHwaron ka

subu o KHum ki bhi Thahregi daur-e-jam ke baad

ilahi 'asi'-e-betab kis se chhuTa hai

ki KHat mein roz-e-qayamat likha hai nam ke baad

(1410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad in PDF.