Wo Kya Hai Tera Jis Mein Jalwa Nahin Hai

wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai

na dekhe tujhe koi andha nahin hai

kahan daman-e-husn aashiq se aTka

gul-e-dagh-e-ulfat mein kanTa nahin hai

kiya hai wahan us ne paiman-e-farda

yahan hai wo shab jis ko farda nahin hai

wo kahte hain main zindagani hun teri

ye sach hai to un ka bharosa nahin hai

meri zist kyun kar na ho jawedani

jo marta hai us par wo marta nahin hai

wahi KHak uDana wahi gardishen hain

ye mana ki aashiq bagula nahin hai

gulu-gir hai un bhawon ka tasawwur

gareban mein apne kanTha nahin hai

in aankhon ko jab se basarat mili hai

siwa tere kuchh main ne dekha nahin hai

meri hasraten is qadar bhar gai hain

ki ab tere kuche mein rasta nahin hai

wo dil kya jo dilbar ki surat na pakDe

wo majnun nahin hai jo laila nahin hai

kamal-e-zuhur-e-tajalli se jaana

jo pinhan nahin hai wo paida nahin hai

(1264) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kya Hai Tera Jis Mein Jalwa Nahin Hai In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Wo Kya Hai Tera Jis Mein Jalwa Nahin Hai is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Wo Kya Hai Tera Jis Mein Jalwa Nahin Hai for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Wo Kya Hai Tera Jis Mein Jalwa Nahin Hai in PDF.