ZaKHm-e-dil Hum Dikha Nahin Sakte

zaKHm-e-dil hum dikha nahin sakte

dil kisi ka dukha nahin sakte

wo yahan tak jo aa nahin sakte

kya mujhe bhi bula nahin sakte

wada bhi hai to hai qayamat ka

jis ko hum aazma nahin sakte

aap bhi bahr-e-ashk hain goya

aag dil ki bujha nahin sakte

un se ummid-e-wasl ai tauba

wo to surat dikha nahin sakte

un ko ghunghaT uThane mein kya uzr

hosh mein hum jo aa nahin sakte

mangte maut ki dua lekin

hath dil se uTha nahin sakte

un ko dawa-e-yusufi 'asi'

KHwab mein bhi jo aa nahin sakte

(1334) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm-e-dil Hum Dikha Nahin Sakte In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. ZaKHm-e-dil Hum Dikha Nahin Sakte is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem ZaKHm-e-dil Hum Dikha Nahin Sakte for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download ZaKHm-e-dil Hum Dikha Nahin Sakte in PDF.