Qafas-nasibon Ka Uf Haal-e-zar Kya Hoga

qafas-nasibon ka uf haal-e-zar kya hoga

phir aa rahi hai chaman mein bahaar kya hoga

dil-o-jigar pe liye honge zaKHm kitnon ne

koi hamari tarah dil-e-figar kya hoga

isi KHayal se main arz-e-shauq kar na saka

haya se rang-e-ruKH-e-tab-dar kya hoga

bahaar de na saki ek phul ko bhi nikhaar

KHizan ke sath hai rang-e-bahaar kya hoga

fasurda lala-o-gul hain rawish rawish hai udas

chaman mein aise mein jashn-e-bahaar kya hoga

KHadang-e-naz ne kuchh is tarah kiya zaKHmi

jo dil ke zaKHm hain un ka shumar kya hoga

kabhi ki TuT gai aas raat bhig gai

kisi ke aane ka ab intizar kya hoga

(1582) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544