Sarshaar Hun Saqi Ki Aankhon Ke Tasawwur Se
sarshaar hun saqi ki aankhon ke tasawwur se
hai koi gharaz mujh ko baada se na saghar se
is daur mein maiKHane ka nazm nirala hai
pi kar koi bahke hum ek jura ko bhi tarse
kitne hain jo ek qatra se pyas bujhate hain
sairab nahin hote kuchh log samundar se
hushiyar bahut rahna hai aaj ke rahi ko
jitna nahin rahzan se Dar utna hai rahbar se
jurat ke dhani jo hain mai-KHana hi un ka hai
jurat na ho jis mein wo ek jam ko bhi tarse
us dil ko samajhna kuchh aasan nahin pyare
ye saKHt hai patthar se nazuk hai gul-e-tar se
socha tha na paimana ab munh se lagaunga
kya KHair ho tauba ki jab ghir ke ghaTa barse
un se koi kah de wo KHud apna muqaddar hain
jo log gila karte hain apne muqaddar se
(1330) Peoples Rate This