Ehsas Ke Sukhe Patte Bhi Armanon Ki Chingari Bhi

ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi

ek dil sine mein TuTa sa aur fitrat mein dildari bhi

mast umangon ke jhonke aur faqa masti ka aalam

hasrat ki tez hawaen bhi ummid ki aatish-bari bhi

dil par khole uDne ke liye uDne ka magar imkan kahan

roken pairon ki zanjiren pinjre ki chaar-diwari bhi

dekha na tujhe ai rab hum ne han duniya teri dekhi hai

saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla nari bhi

behaal na ho yun nadan dil har haal mein jina hai lazim

hai raste mein aasani bhi majburi bhi dushwari bhi

ek khel musalsal gardish ka dekha hai hum ne gulshan mein

phulon ka khil kar murjhana aur kaliyon ki kilkari bhi

manzil pe na pahuncha jab koi ilzam usi par kyun aae

rah-raw ke bhaTakne mein hai kuchh rahbar ki zimme-dari bhi

'azim' teri barbaadi mein sab ne mil-jul kar kaam kiya

kuchh khel lakiron ka bhi hai kuchh waqt ki kar-guzari bhi

(1564) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ehsas Ke Sukhe Patte Bhi Armanon Ki Chingari Bhi In English By Famous Poet Aazim Kohli. Ehsas Ke Sukhe Patte Bhi Armanon Ki Chingari Bhi is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Ehsas Ke Sukhe Patte Bhi Armanon Ki Chingari Bhi for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Ehsas Ke Sukhe Patte Bhi Armanon Ki Chingari Bhi in PDF.