Dur Hai Manzil To Kya Rasta To Hai

dur hai manzil to kya rasta to hai

ek nazar us ne mujhe dekha to hai

chand hathon mein nahin to kya hua

aasman par hi sahi dikhta to hai

KHush agar ghairon mein hai to KHush rahe

wo kahin bhi ho chalo achchha to hai

kuchh nahin hai aur to gham hi sahi

is bhari duniya mein kuchh apna to hai

aaj wo yun hi nahin mujh se KHafa

kuchh gila to hai koi shikwa to hai

kiya bharosa us ke wade ka magar

dil ke KHush rakhne ko ek wada to hai

us ne rakkha hai takalluf ka bharam

ab adawat par koi parda to hai

aa raha hai wo bhi aaKHir rah par

sun ke mera zikr kuchh kahta to hai

dil nahin 'azim' chalo jaan hi sahi

KHair us ne mujh se kuchh manga to hai

(1086) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Hai Manzil To Kya Rasta To Hai In English By Famous Poet Aazim Kohli. Dur Hai Manzil To Kya Rasta To Hai is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Dur Hai Manzil To Kya Rasta To Hai for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Dur Hai Manzil To Kya Rasta To Hai in PDF.