Dil Lagaya Hai To Nafrat Bhi Nahin Kar Sakte

dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte

ab tere shahr se hijrat bhi nahin kar sakte

aaKHri waqt mein jine ka sahaara hai yahi

teri yaadon se baghawat bhi nahin kar sakte

jhuT bole to jahan ne hamein fankari kaha

ab to sach kahne ki himmat bhi nahin kar sakte

is nae daur ne man-bap ka haq chhin liya

apne bachchon ko nasihat bhi nahin kar sakte

hum ujalon ke payambar to nahin hain lekin

kya charaghon ki hifazat bhi nahin kar sakte

qadr insan ki ghaT ghaT ke yahan tak pahunchi

ab to qimat mein riayat bhi nahin kar sakte

fan ki tazim mein mar jaoge bhuke 'dana'

tum to ghazlon ki tijarat bhi nahin kar sakte

(1359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Lagaya Hai To Nafrat Bhi Nahin Kar Sakte In English By Famous Poet Abbas Dana. Dil Lagaya Hai To Nafrat Bhi Nahin Kar Sakte is written by Abbas Dana. Read famous Poem Dil Lagaya Hai To Nafrat Bhi Nahin Kar Sakte for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Dil Lagaya Hai To Nafrat Bhi Nahin Kar Sakte in PDF.