Gardish-e-dauran Se Ek Lamha Churane Liye

gardish-e-dauran se ek lamha churane liye

sochna paDta hai kitna muskurane ke liye

kitni zahmat jhelta hai ek muflis mezban

ghar ki bad-hali ko mehman se chhupane ke liye

bhuk un ko le gai hai kar-KHanon ki taraf

ghar se bachche nikle the school jaane ke liye

KHun apna bech kar aaya hai ek majbur bap

beTiyon ke hath par mehndi lagane ke liye

zindagi jalti hai kitni dozaKHon ki aag mein

chaar-diwaron ki ek jannat banane ke liye

hae tyauhaaron ne logon ko bhikari kar diya

qarz lena paDta hai KHushiyan manane ke liye

ho rahe hain aaj dana aandhiyon mein mashware

sirf mere ghar ka ek dipak bujhane ke liye

(1916) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gardish-e-dauran Se Ek Lamha Churane Liye In English By Famous Poet Abbas Dana. Gardish-e-dauran Se Ek Lamha Churane Liye is written by Abbas Dana. Read famous Poem Gardish-e-dauran Se Ek Lamha Churane Liye for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Gardish-e-dauran Se Ek Lamha Churane Liye in PDF.